usi ke qadmon se ek chehra nikalna hai gire shajar se hawa ka shajara nikalna hai main der se ek dar pe khali khada hua hun kisi ki masrufiyat mein waqfa nikalna hai mujhe pahadon ko khodte dekh kya rahe ho kahin pahunchna nahin hai rasta nikalna hai bade-badon se akad ke milta hun aaj-kal main mujhe khudaon mein ek banda nikalna hai bahut dinon se sukun phaila hai zindagi mein isi tasalli mein ab achambha nikalna hai