charagh jal to rahe hain magar andhera hai na jaane shahar mein kya aur hone wala hai andhera ghar sahi lekin bahut ujala hai na jaane aaj yahan kaun aane wala hai ye shakhs dekhne mein ajnabi nahin lagta na jaane kaun si basti ka rahne wala hai na guftugu mein tasalli na khamushi mein sada suluk-e-dost ka andaz hi nirala hai wo jis ke waste sadiyan guzar din hum ne wo ek lamha bahar-haal aane wala hai wo be-niyaz sahi phir bhi us se kah do 'naz' ye dil ka rishta hai kab tut jaane wala hai