usi ki dastaras mein aa gaya hun main ab phir se qafas mein aa gaya hun mera bujhna yahan wajib hai ab to hawaon ke jo bas mein aa gaya hun tumhaara hijr katta bhi nahin ab ye kis umr-e-baras mein aa gaya hun meri pahchan hai tum se faqat ab tumhaare rang-o-ras mein aa gaya hun bada mushkil hai dil ka shad hona ki duniya ki hawas mein aa gaya hun jo chaho tum mujhe ab rang de do tumhaare canwas mein aa gaya hun