usi ki dhun mein kahin naqsh pa gaya hai mera jo aa ke khwab mein dar khatkhata gaya hai mera guzar gaya hai jo pahlu bacha ke mujh se to kya nazar jhuka ke wo ghar dekhta gaya hai mera hun muztarib teri gum-gashta aarzu ke liye dukan-e-dil se dur-e-be-baha gaya hai mera asir-e-gumbad-e-be-dar pada hun muddat se mere hi dil pe wo pahra bitha gaya hai mera qadam qadam pe dayar-e-wafa ke raste mein meri zaban se fasana suna gaya hai mera muhit hai mere diwar-o-dar pe tanhai na jaane kaun ise ghar bata gaya hai mera