wo bahr-o-bar mein nahin aur na aasman mein hai jo raaz-e-zist mere shauq-e-be-karan mein hai mujhe qarar ba-juz shauq-e-be-qarar nahin sukun-e-zist mujhe shokhi-e-butan mein hai mujhe qubul nahin aisa raaz-e-sar-basta jo chashm-e-aql se poshida la-makan mein hai meri hayat faqat justuju-e-paiham hai mera maqam sitaron ke karwan mein hai main aasman mein sitaron ki sair karta hun ye kya surur tere sang-e-astan mein hai mere wajud mein pinhan hai gauhar-e-yakta mera wajud nihan bahr-e-be-karan mein hai chaman mein jabki nasheman bana chuka hun main ajab tarah ki chamak chashm-e-asman mein hai mere kalam se aaya hai barg-e-gul pe nikhaar mere nafas ki mahak sare gulistan mein hai wo lutf-e-zist jo hai tund-o-tez tufan mein wo shakh-e-gul pe nahin aur na aashiyan mein hai wo soz-o-saz-e-haqiqat se aashna hogi wo zindagi jo hama-waqt imtihan mein hai har ek lahza hai ek taza walwala darkar ajab tarah ka maza bahr-e-be-karan mein hai wo meri quwwat-e-iman ki ek alamat hai jo shor-e-hashr bapa bazm-e-dushmanan mein hai