usi kinara-e-hairat-sara ko jata hun main ek sawar hun koh-e-nida ko jata hun ramidgi ka bayaban hai aur be-khor-o-khwab ghubar karta sukut o sada ko jata hun qarib hi kisi kheme se aag puchhti hai ki is shikoh se kis qartaba ko jata hun hazar ki dajla-e-dushwar par qadam rakhta shikar-gah-e-furaat-o-fana ko jata hun kahan gae wo khudayan-e-dirham-o-dinar ki ek dafina-e-dasht-e-bala ko jata hun safarat-e-had-e-hairangi pe hun mamur nigar-khana-e-husn-o-ada ko jata hun wo din bhi aae ki inkar kar sakun 'sarwat' abhi to mabad-e-hamd-o-sana ko jata hun