usi ne aadam ke naqsh-e-pa ko azal kiya tha bharam rakha tha zamin pe jalwa-fagan na ho kar bhi jis ne pahla qadam rakha tha hum ek tartib se tumhaari udas nazmon pe ro chuke hain ki aansuon aur khun ke beach dedh siski ka sam rakha tha zaif waqton mein apne kumbe ki zimmedari uthai hum ne tumhaare abbu ne munh dikhai mein is hatheli pe gham rakha tha inhi gulon se ab aathwin sur ki mithi aawaz aa rahi hai jinhon ne hijran ki raat larzish ke khas unsur ko kam rakha tha use batana ki apne dariyaon ki hifazat ke kaam aae wo ped kashti bane hue hain jinhon ne sahra mein nam rakha tha