Thik hai in dinon KHud par zara ghussa hun main

thik hai in dinon khud par zara ghussa hun main
phir bhi apni sabhi harkat ko takta hun main

aankh ki mez pe rakkha hai mera khwab-e-safar
aur bistar pe shikan dal ke soya hun main

maslahat dhundte phirte ho sabhi kaamon mein
tum ko bimar nahin lagta to achchha hun main

waqt-e-wahshat mujhe pahchan nahin pata koi
phir batata hun fulan shakhs ka beta hun main

tum jo chaho to mujhe ped ka hissa kar do
warna pairon tale raunda hua patta hun main

chand lamhon ka dhuan aks mein tabdil hua
aur main jhum ke kahne laga dekha hun main

sakht bimari mein rakhta hun khayal aap apna
khud se khud puchhta rahta hun ki kaisa hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close