us ke chehre ki chamak ke samne sada laga aasman pe chand pura tha magar aadha laga jis ghadi aaya palat kar ek mera bichhda hua aam se kapdon mein tha wo phir bhi shahzada laga har ghadi tayyar hai dil jaan dene ke liye us ne puchha bhi nahin ye phir bhi aamada laga karwan hai ya sarab-e-zindagi hai kya hai ye ek manzil ka nishan ek aur hi jada laga raushni aisi ajab thi rang-bhumi ki 'nasim' ho gae kirdar mudgham kirshn bhi radha laga