mere nale par nahin tujh ko taghaful ke siwa gul nahin sunta kisi ka shor-e-bulbul ke siwa tum jo kuchh chaho karo jaur-o-itab-o-khashm-o-naz kuchh nahin banta hai aashiq se tahammul ke siwa jo sukhan-ras aashna hain zulf-o-kakul ke teri un ko mazmun bhi nahin milta hai sumbul ke siwa kis tarah mujh se judai tujh ko aati hai pasand qafiya gul ka nahin thahre hai bulbul ke siwa waste musa ke surma tur ka hai ai 'raza' main na dun aankhon mein khak-e-pa-e-duldul ke siwa