us ke dar tak kise rasai hai wo hi jaega jis ki aai hai baat ek dil mein mere aai hai gar kahun to abhi ladai hai dusri jaan hai teri ulfat ek khoi hai ek pai hai bhar diya zakhm mein namak us ne ye dua-go ki munh-bharai hai sach hai be-aib hai khuda ki zat tujh mein kya jaane kya burai hai ai lab-e-yar tujh ko meri qasam kabhi sachchi qasam bhi khai hai us ke dar tak pahunch gaya qasid aage taqdir ki rasai hai qatl karti hai guftugu un ki baat mein baat ki safai hai 'dagh' ab wasl ka visal hua yar zinda gham-e-judai hai