us ke dil mein ye kya samai baat ghair se meri ja lagai baat us ko kis ne ye ja sunai baat ghair ke hath kaise aai baat kuchh kaha us ne jab to phul jhade wah kya rukh pe rang lai baat ye buri baat hai bacha khud ko chhup ke sunta hai kyon parai baat us se kya kahna chahta tha main bhul kar bhi na yaad aai baat kyon hua mujh pe mehrban itna kaun si us ko meri bhai baat main hamesha raha hun mohar-ba-lab main ne kab ki hai jag-hansai baat kar diya raaz khud hi tasht-az-baam kyon zaban par ye teri aai baat ab tassuf fuzul hai 'khawar' tu ne khud hi kahan chhupai baat