tu hi nahin gardish mein murakh gardish mein sansar bhi hai

tu hi nahin gardish mein murakh gardish mein sansar bhi hai
rogon se bharpur hai duniya rogon ki bhar-mar bhi hai

mah-washon ki ulfat mein kuchh jit bhi hai kuchh haar bhi hai
dil ki baaten dil hi jaane dil ko hi aazar bhi hai

mashq-e-sitam kije dil bhar kar hazir hun har tarah se main
chahe jis se ghayal kije abru bhi talwar bhi hai

ishq-e-haqiqi mein marna to ain-saadat hai be-shak
kashti-e-dil dube ya ubhre sahil bhi manjdhaar bhi hai

husn-e-talab hai apna apna chahe jise apna lije
gulshan-e-hasti mein sab kuchh hai phul bhi hai aur khar bhi hai

ye duniya aani-jaani hai pyare kaun hai kis ka mit
sab ko tu apna samjha hai koi tera gham-khwar bhi hai

jaez hai mazhab mein us ke fikr-e-sukhan ke sath mein waz
'khawar' ki babat mat puchho zahid bhi fan-kar bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close