us ke dil tak nahin pahuncha koi rasta sidha is liye kahne laga ishq ko ulta-sidha jis tarah se wo batate hain tujhe uzr apne is ka matlab to taghaful hi hai sidha sidha hum agar tujh mein sama jaen to hairat kaisi aa ke girta hai samandar mein hi dariya sidha hum ne us nam ki hurmat ko bachae rakkha log karte rahe jis nam pe paisa sidha kyon mujhe bich mein khincha gaya malum nahin mera khud se to nahin tha koi jhagda sidha is zamane ki mohabbat ke usulon pe chalen is zamane mein bhala kaun hai itna sidha kis ke kirdar ke azmat ki duhai main dun nek ladki hai koi aur na ladka sidha main agar bhag bhi niklun to bhatak jaunga shahr-e-qatil mein nahin ek bhi rasta sidha bahr-o-bar mein wahi gum-gashta hua hai 'harshit' ishq ki rah ko jis jis ne bhi samjha sidha