zuhur-e-yusuf-e-jaan ki nishaniyan hain kai

zuhur-e-yusuf-e-jaan ki nishaniyan hain kai
zaban-e-khalq pe udti kahaniyan hain kai

abhi shagufta hai sine mein aarzu ka chaman
tere sitam se abhi khush-gumaniyan hain kai

is ek jor se dil kis tarah ho aazurda
abhi to yaad teri mehrbaniyan hain kai

jhuki nazar mein hai nadida jannaton ki nawed
jawan labon pe machalti kahaniyan hain kai

hui shabab mein bas ek hi khata hum se
samajh liya tha ki aisi jawaniyan hain kai

guzar to le ye shab-e-hijr ek bar ai dil
tere nasib mein raaten suhaniyan hain kai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close