us ke gham mein hayat bhul gae raunaq-e-kaenat bhul gae ek muddat mein to mile us se phir bhi kahne ki baat bhul gae ek hasin wardat ke aage zist ke hadsat bhul gae ishq mein log hum se kya badle wo bhi to iltifat bhul gae kitne be-khud hain us ke gham ke siwa talkhi-e-waqiat bhul gae aish-o-ishrat mein kho gae itna hasti-e-be-sabaat bhul gae us se mil kar the is qadar khush hum ki har ek gham ki raat bhul gae mal-o-zar hath kya laga un ke log apni bhi zat bhul gae zehn par itna chha gae wo 'zafar' fikr-e-maut-o-hayat bhul gae