us ke har rang se kyun shoala-zani hoti hai un ki taswir to kaghaz ki bani hoti hai aql o mazhab ki jab aapas mein thani hoti hai phir to har rah-bari rahzani hoti hai yaad aati hai jab un ki nigah-e-naz mujhe ek barchhi mere sine pe tani hoti hai kis tarah dur hon aalam-e-gharib-ul-watani zindagi khud bhi gharib-ul-watani hoti hai phal use aae na aae ye muqaddar ki hai baat chhanw to nakhl-e-tamanna ki ghani hoti hai shikwe tauqir-e-mohabbat bhi hua karte hain magar us waqt jab aapas mein bani hoti hai main bhi pita hun mujhe is se kuchh inkar nahin wo magar daman-e-taqwa mein chhani hoti hai zabt-e-girya se kahin chaak na ho jae jigar bund aansu ki bhi hire ki kani hoti hai ek tumhaari hi nazakat hai jo hai tum pe giran warna har phul mein nazuk-badani hoti hai is qadar ghair hai kyun haal tumhaara ai 'josh' kabhi dil par to kabhi dam pe bani hoti hai