watan ki sar-zamin se ishq o ulfat hum bhi rakhte hain khatakti jo rahe dil mein wo hasrat hum bhi rakhte hain zarurat ho to mar mitne ki himmat hum bhi rakhte hain ye jurat ye shujaat ye basalat hum bhi rakhte hain zamane ko hila dene ke dawe bandhne walo zamane ko hila dene ki taqat hum bhi rakhte hain bala se ho agar sara jahan un ki himayat par khuda-e-har-do-alam ki himayat hum bhi rakhte hain bahaar-e-gulshan-e-ummid bhi sairab ho jae karam ki aarzu ai abr-e-rahmat hum bhi rakhte hain gila na-mehrbani ka to sab se sun liya tum ne tumhaari mehrbani ki shikayat hum bhi rakhte hain bhalai ye ki aazadi se ulfat tum bhi rakhte ho burai ye ki aazadi se ulfat hum bhi rakhte hain hamara nam bhi shayad gunahgaron mein shamil ho janab-e-'josh' se sahab salamat hum bhi rakhte hain