uske hathon ka banaya hua shahkar hun main

us ke hathon ka banaya hua shahkar hun main
aur kuchh log samajhte hain ki be-kar hun main

mera is husn ke bazar mein kuchh mol nahin
main bani-khak hun aur khak ka haqdar hun main

mujh ko be-sakhta aawaz na de andar se
aarzi lams ki shiddat mein giraftar hun main

wo safar-saz tha so us ka diya raushan tha
main junun-saz hun aur hamil-e-raftar hun main

teri duniya se sanbhaala na gaya mera wajud
aur aakhir pe jo hota hai wo inkar hun main

dast-basta hun kabhi waqt ki parkar tale
aur kabhi apni bala se wahi parkar hun main

dil lagata hi gaya shah-e-najaf ka nara
jism karta raha israr ki bimar hun main

mujh ko is daur ki aawaz na samjho 'rasikh'
apne hi dard ka bosida taraf-dar hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close