uske insan ko jagana hai

us ke insan ko jagana hai
ek patthar ko ab rulana hai

ya kisi khwab ya kisi dil mein
aur apna kahan thikana hai

hasb-e-mamul maut aaegi
hasb-e-mamul hum ko jaana hai

jis ko dil se nikal phenka hai
ab use dhundne bhi jaana hai

ek aawargi ka qissa hai
dasht ko raat bhar sunana hai

dekhna dur-dur se us ko
khel achchha hai par purana hai

ek hazin khwab do hasin aankhen
aur kya zindagi se pana hai

ab jo dil ki khala mein utre hain
ek diwar ko uthana hai

zindagi ek chhoti si rudad
milte jaana bichhadte jaana hai

dur se dekhna hai hasrat ko
fasla darmiyan bichhana hai

waqt ka sab kiya dhara 'mira'
ye khizaen to ek bahana hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close