dard-e-gham-e-hayat ka anjam kya hua ye puchhta hai ab dil-e-nakaam kya hua hum anjuman mein ja ke tamasha bane rahe sar apne be-niyazi ka ilzam kya hua daman chhuda ke chal diye mere aziz bhi main maqsad-e-hayat mein nakaam kya hua ehsas ki ragon mein hararat nahin rahi saman is haweli ka nilam kya hua ab mujh se mera haal koi puchhta nahin us shokh ki nigah mein nakaam kya hua ek bhid tere naqsh-e-qadam par nikal padi 'qaisar' tu rah-e-zauq mein badnam kya hua