us ke nazdik gham-e-tark-e-wafa kuchh bhi nahin mutmain aisa hai wo jaise hua kuchh bhi nahin ab to hathon se lakiren bhi miti jati hain us ko kho kar to mere pas raha kuchh bhi nahin chaar din rah gae mele mein magar ab ke bhi us ne aane ke liye khat mein likha kuchh bhi nahin kal bichhadna hai to phir ahd-e-wafa soch ke bandh abhi aaghaz-e-mohabbat hai gaya kuchh bhi nahin main to is waste chup hun ki tamasha na bane tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuchh bhi nahin ai 'shumar' aankhen isi tarah bichhae rakhna jaane kis waqt wo aa jae pata kuchh bhi nahin