us ke pahlu se lag ke chalte hain hum kahin talne se talte hain band hai mai-kadon ke darwaze hum to bas yunhi chal nikalte hain main usi tarah to bahalta hun aur sab jis tarah bahalte hain wo hai jaan ab har ek mahfil ki hum bhi ab ghar se kam nikalte hain kya takalluf karen ye kahne mein jo bhi khush hai hum us se jalte hain hai use dur ka safar dar-pesh hum sambhaale nahin sambhalte hain sham furqat ki lahlha uthi wo hawa hai ki zakhm bharte hain hai ajab faisle ka sahra bhi chal na padiye to panw jalte hain ho raha hun main kis tarah barbaad dekhne wale hath malte hain tum bano rang tum bano khushbu hum to apne sukhan mein dhalte hain