us ko hai ishq batana bhi nahin chahta hai aur ye baat chhupana bhi nahin chahta hai sochta rahta hai din-bhar ki meri raat mein aae apne din ko ye jatana bhi nahin chahta hai shairi ko mera izhaar samajhta hai magar parda-e-sher uthana bhi nahin chahta hai sae ko justuju-e-jism bahut hai phir bhi pahlu-e-jism mein aana bhi nahin chahta hai aisa lagta hai ki wo pa bhi chuka hai mujh ko jo ba-zahir mujhe pana bhi nahin chahta hai farhat-ehsas ko hai sari haqiqat malum mahfil-e-wahm se jaana bhi nahin chahta hai