uske rang mein rangi guzar jae

us ke rang mein rangi guzar jae
zindagi phir meri sanwar jae

zindagi maut ki amanat hai
phir bhala koi kyon mukar jae

zindagi ek dhuen ka marghola
jab hawa tez ho bikhar jae

us ne mearaj-e-zindagi pai
jo khuda ki raza mein mar jae

mustahiq log hath malte hain
aur gadagar ki jholi bhar jae

gar hidayat na ho teri mujh ko
tera diwana phir kidhar jae

ye alamat bhi hai munafiq ki
wada karke bhi jo mukar jae

zindagi zindagi nahin 'nashtar'
jo faqat khel mein guzar jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close