waqt ke KHudaon mein kaisi hoshiyari hai

waqt ke khudaon mein kaisi hoshiyari hai
bhes hain amiron ke zehniyat bhikari hai

khud-bakhud nahin hael nafraton ki diwaren
kuchh khata tumhaari thi kuchh khata hamari hai

lakh main shahadat dun koi kyon ye manega
shams ne mere ghar mein tirgi utari hai

kar liya sabhi ne tai mujh ko to rulane ka
ek hansi pe meri to sab ko be-qarari hai

qahqahe hon aansu hon chahe sukh hon ya dukh hon
meri jhonpadi mujh ko har tarah se pyari hai

dushmanon ki mahfil mein le chala mujhe ye dil
mujh pe ai khuda kaisi bebasi ye tari hai

ek zara sa gham 'nashtar' kyon bhala na ras aaya
phul ne to kanton mein zindagi guzari hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close