us ki aankhen hare samundar us ki baaten barf phir bhi naqsh hua hai dil par us ka ek ek harf koi bhare kanton se daman koi phul chune apna apna daman sab ka apna apna zarf us ki chah mein ranjha ban kar bela bela ghume dhup ke is sahra mein apni umr hui hai sarf ek duje ko dekh na pae barson bit gae aankhon ki putli mein kho kar rah gae kitne harf sukhe dariyaon ki surat qatra qatra tarsen jaane kab chamkega suraj kab pighlegi barf