us ki aankhon mein haya aur ishaara bhi hai band honton se mujhe is ne pukara bhi hai us ne kandhe pe hamare jo kabhi sar rakkha yun laga zist mein koi to hamara bhi hai rit bhi garm hai aur dhup bhi hai tez magar us ki pur-kaif rifaqat ka sahaara bhi hai chum kar hath mera deta hai wo dil ko kasak kaisa dushman hai ki jo jaan se pyara bhi hai us ke rukhsar pe barish ki wo halki bunden phul par qatra-e-shabnam ka nazara bhi hai itna itrana bhi kuchh thik nahin yaad rahe zist mein nafa bhi hai aur khasara bhi hai tairta jata hun aur soch raha hun 'anjum' is samundar ka kahin koi kinara bhi hai