us ki aankhon mein koi khwab nahin kya piyale mein hi sharab nahin phul to aur bhi hain lekin dost us ke jaisa koi gulab nahin haal sukhe darakht se puchho apna saya bhi dastiyab nahin pahle bose mein ishq phika laga aakhiri ka koi jawab nahin hijr ki aag se bacha na koi ashk hi ashk hai bas aab nahin wasl ke din gine hain ungli par hijr ka koi bhi hisab nahin tu nahin yaad bhi nahin teri dasht-e-dil mein koi sarab nahin dekh jis ko ho jate the pagal samne hai ab iztirab nahin hai adab jaanna tabiat bhi haal puchha hai bazyab nahin