jo maze aaj tere gham ke azabon mein mile aisi lazzat kahan saqi ki sharabon mein mile sari duniya se nahin un ko hai parda lekin wo mile jab bhi mile mujh ko naqabon mein mile teri khushbu se moattar hai zamana sara kaise mumkin hai wo khushbu bhi gulabon mein mile zindagani mein nasihat nahin kaam aati hai dars-e-akhlaq faqat mujh ko kitabon mein mile main ne phulon se bhi nazuk se sawalat kiye mujh ko patthar se hi alfaz jawabon mein mile pyar ke bab mein ab nam kahan hai tera koi tahrir-e-wafa kaise nisabon mein mile kya pata kal jo badi shan mein gum tha 'azam' ab wahi shakhs tujhe khana-kharabon mein mile