uski ana ke but ko baDa kar ke dekhte

us ki ana ke but ko bada kar ke dekhte
mitti ke aadmi ko khuda kar ke dekhte

mayusiyon mein yun hi tamanna ujad di
utthe hue the hath dua kar ke dekhte

dushman ki chap sun ke na khamosh baithte
jo farz tum pe tha wo ada kar ke dekhte

be-mehri-e-zamana ka shikwa fuzul hai
nikle the ghar se gar to sada kar ke dekhte

us ke baghair zindagi kitni fuzul hai
taswir us ki dil se juda kar ke dekhte

gardan jhuka ke chalne mein kitna waqar hai
apni ana se khud ko riha kar ke dekhte

taza hawa mein udne ki khwahish thi gar 'sadid'
tum apna jism waqf-e-faza kar ke dekhte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close