hai ayan ru-e-yar aaankhon mein chhai hai kya bahaar aaankhon mein shoale uthte hain bar bar ajib kaun hai shama-war aaankhon mein kaun hai shahsawar-e-tausan-e-husn jis ka hai ye ghubar aaankhon mein kaisi mai tu ne di pila mujh ko ab talak hai khumar aaankhon mein dil hai bulbul sifat ba-nala-o-ah kaun hai gul-ezar aaankhon mein shauq mein kis ki hai nikal aaya dil-e-pur-iztirar aaankhon mein ubal aata hai kis ki shauq mein aah khun-e-dil bar bar aaankhon mein har taraf hai ayan rukh-e-dil-dar hai khizan nau-bahaar aaankhon mein faiz-e-khadim-safi se hai 'asim' jalwa-gar husn-e-yar aaankhon mein