us ki chah mein nam nahin aane wala ab mera anjam nahin aane wala husn se kaam pada hai aakhiri sanson mein aur wo kisi ke kaam nahin aane wala meri sada par wo nazdik to aaega lekin zer-e-dam nahin aane wala ek jhalak se pyas ka rog badhega aur is se mujhe aaram nahin aane wala ishq ke nam pe tera rang na badle yar tujh par kuchh ilzam nahin aane wala kaam ko baithe hain aur sar par aai sham lagta hai ab kaam nahin aane wala kyun be-kar us shakhs ka rasta dekhte ho wo to 'shumar' is sham nahin aane wala