us ki hasrat hai jise dil se mita bhi na sakun dhundne us ko chala hun jise pa bhi na sakun the one that i desire, this heart cannot displace the one who is unattainable i seek to embrace dal ke khak mere khun pe qatil ne kaha kuchh ye mehndi nahin meri ki chhupa bhi na sakun throwing dust upon my blood my murderer proclaims tis not henna on my palms that i cannot efface zabt kam-bakht ne yan aa ke gala ghonta hai ki use haal sunaun to suna bhi na sakun cursed may forbearance be for throttling my voice now even tho' if i wish to, i cannot state my case naqsh-e-pa dekh to lun lakh karunga sajde sar mera arsh nahin hai jo jhuka bhi na sakun if i could but espy her feet would surely genuflect my head is not the lofty sky that cannot bow in praise bewafa likhte hain wo apne qalam se mujh ko ye wo qismat ka likha hai jo mita bhi na sakun she pens me as unfaithful in her very hand this is the writing of my fate that i cannot erase is tarah soe hain sar rakh ke mere zanu par apni soi hui qismat ko jaga bhi na sakun she sleeps so contentedly, her head upon my lap my fortune that is slumbering, i am loath to raise