khud apni lau mein tha mehrab-e-jaan mein jalta tha wo musht-e-khak tha lekin charagh jaisa tha wo gum hua to mazamin ho gae be-rabt wahi to tha jo mera markazi hawala tha mere khayal ki tajsim hai wajud tera tere liye badi shiddat se main ne socha tha wo sirf apni hudud-o-quyud ka nikla us ek shakhs ko kya kya samajh ke chaha tha makan bana ke use band kar diya warna ye rasta kisi manzil ko jaane wala tha ye waqia hai ki hum ne wo ru-e-nadida baghair minnat-e-chashm-o-nigah dekha tha muani-e-shab-e-tarik khul rahe the 'salim' jahan charagh nahin tha wahan ujala tha