uski jaanib dekhte the aur sab KHamosh the

us ki jaanib dekhte the aur sab khamosh the
us ki aankhen bolti thin aur lab khamosh the

yun to dil wale the mahfil thi magar aalam tha ye
us ka jadu tha jo hairat ke sabab khamosh the

chand ek nazdik se dekha tha jab samran mein
hum bhi kuchh kahte par apne chashm-o-lab khamosh the

ek sukut-e-marg tari tha chaman-zadon ke beach
mahw-e-khwab-e-khush-dili the misl-e-shab khamosh the

sab ke chehron par likhi thin khwahishen 'sultan-rashk'
yun to lab-basta the sare ba-adab khamosh the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close