us ki qurbat ka tamasha bhi ajab hai sain log bimar samajhte hain ghazab hai sain ab tabiat ke na lagne pe khula mahfil mein ek wahi shokh nahin waise to sab hai sain hae kambakht ne is darja kiya hai mayus main samajhta tha ki izhaar-ba-lab hai sain main bhi kuchh apne hunar ka to dikhaun jalwa jashn-e-nauroz bata shahr mein kab hai sain rang khulta hai kahan sham se pahle us ka sham bhi der se aati hai ghazab hai sain shauq mera ye nahin hai meri majburi hai kuchh to is tarah bhatakne ka sabab hai sain dard-e-dil le ke kahin aur bhala kyon jaun samne jab mere tera ye matab hai sain