uski surat uski aankhen us ka chehra bhul gae

us ki surat us ki aankhen us ka chehra bhul gae
jis raste par barson bhatke hum wo rasta bhul gae

tez hawa ke zalim jhonke lamha lamha sath rahe
lamha lamha ek muddat tak dard jo uttha bhul gae

sahra sahra chalte chalte kuchh aise manus hue
apne apne shahar ka rahi gosha gosha bhul gae

pagdandi jo ranj-o-alam ko jati thi wo yaad nahin
khushiyon ka bhi shish-mahal mein ek tha dera bhul gae

kahte hain kuchh dost hamare hum kafi mutwazin hain
is manzil tak aate aate jaane kya kya bhul gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close