main har be-jaan harf-o-lafz ko goya banata hun ki apne fan se patthar ko bhi aaina banata hun main insan hun mera rishta 'brahim' aur 'azar' se kabhi mandir kalisa aur kabhi kaba banata hun meri fitrat kisi ka bhi taawun le nahin sakti imarat apne gham-khane ki main tanha banata hun na jaane kyun adhuri hi mujhe taswir jachti hai main kaghaz hath mein lekar faqat chehra banata hun meri khwahish ka koi ghar khuda malum kab hoga abhi to zehn ke parde pe bas naqsha banata hun main apne sath rakhta hun sada akhlaq ka paras isi patthar se mitti chhu ke main sona banata hun