us ki talab mein rah ko takti hai zindagi aankhon mein waqt-e-sham chamakti hai zindagi tere liye jab aankh barasti hai raat ko phir dil ke sath sath sulagti hai zindagi dukh se nidhaal ho ke jo roti hain betiyan phir un ke dekh dekh ke hansti hai zindagi jo ek khayal bais-e-azar hai bahut us ek khayal se hi chahakti hai zindagi kis se karen ye baat ki jo haal hain yahan khamosh agar hue to bilakti hai zindagi raston ko soch soch pareshan hain sabhi manzil ko khoj khoj sisakti hai zindagi chahat ke jo bhi zakhm hain rakhiye sambhaal kar in ki hi bas se to mahakti hai zindagi us ne diya tha ek diya rah ke liye kab tak jalega aaj to thakti hai zindagi