fasl-e-gul khak hui jab to sada di tu ne ai gul-e-taza bahut der laga di tu ne teri khushbu se mere dil mein khile dard ke phul so gai thi jo bala phir se jaga di tu ne meri aankhon mein andhere ke siwa kuchh bhi na tha is kharabe mein ye kya shama jala di tu ne zindagi bhar mujhe jalne ke liye chhod diya sabz patton mein ye kya aag laga di tu ne koi surat bhi rihai ki nahin rahne di aisi diwar pe diwar bana di tu ne main tere hath na chumun to ye na-shukri hai daulat-e-dard tamanna se siwa di tu ne kabhi kah dun to zamana mera dushman ho jae dil ko wo baat bhi chup rah ke bata di tu ne wo tere pas se chup-chap guzar kaise gaya dil-e-betab qayamat na utha di tu ne ise kahne ke liye lafz kahan se aae dastan-e-shab-e-gham kaise suna di tu ne us ko bhi us ki nigahon mein bahut khar kiya apni tauqir bhi mitti mein mila di tu ne kash wapas tujhe goyai na milti 'shahzad' bol kar aaj bahut baat badha di tu ne