us ki to ek dil-lagi apna bana ke chhod de jae wo ab kahan jise sab se chhuda ke chhod de khel nahin hai bad-guman qaul-o-qarar bhulna phir se aazma ke dekh yaad dila ke chhod de nibh chuka zindagi ka sath jab ye abhi se haal hai bojh batane wala hi bich mein la ke chhod de us se kahen to kya kahen jis ke mizaj mein ye zid jab na lagi bujha sake aag laga ke chhod de rah tawil panw shal aur ye ham-safar ka haal le to chale sambhaal ke bich mein la ke chhod de