meri wahshat ka jo afsana banaya hota

meri wahshat ka jo afsana banaya hota
sunne walon ko bhi diwana banaya hota

un ke lane ki na sujhi tujhe qasid tadbir
jhut sach koi to afsana banaya hota

dekhte tum ki sanwar jate na gesu kaise
meri palkon ka agar shana banaya hota

mar ke bhi ruh na pine ko tarasti saqi
meri mitti se jo paimana banaya hota

tum ne zulfon ko bana kar hamein diwana kiya
kya bigadta tha tumhaara na banaya hota

dil jo waiz ka banaya tha ilahi patthar
kash sang-e-dar-e-mai-khana banaya hota

dil-e-wahshi jo chhuta mujh se bahut khub hua
warna ab tak mujhe diwana banaya hota

wusat-e-dil jo koi pir-e-mughan dikhlaya
ek ek jam ko mai-khana banaya hota

munh se aanchal jo hatata wo sar-e-bazm 'jalil'
ba-khuda shama ko parwana banaya hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close