us ki yaadon pe sadqe har baat bikharti jati hai zikr kiye jata hun us ka raat guzarti jati hai waqif hai har phul chaman ka us ke badan ki khushbu se chhu kar us ko baad-e-saba bhi aahen bharti jati hai kho jate hain chand sitare us ki husn-parasti mein jyun jyun gahri hoti hai shab aur nikharti jati hai khwab adhure matam karte hain aankhon mein puri shab dil mein yaadon ki koi shamshir utarti jati hai shahar-e-gum-gashta ki sadkon par koi mahfuz nahin khamoshi bhi ab is jaanib darti darti jati hai be-kas lamhe aashufta dil aur ye ranj-o-gham 'ankit' jabr-e-mashiyat hijr ke maani zahir karti jati hai