ye socha hai ki mar jaen tumhaare war se pahle

ye socha hai ki mar jaen tumhaare war se pahle
tumhaari jit ho jae hamari haar se pahle

kisi lamhe tumhaara war kari ho bhi sakta hai
magar ye sar hi jaega meri dastar se pahle

bata kitna gira sakta hun khud ko teri khwahish par
mera mear bhi to hai tere mear se pahle

nazara-ha-e-dilkash se guzar jata tha begana
magar ai qamat-e-zeba tere didar se pahle

sitaron ki tarah chamke hamare khun ke chhinte
ki hum ne sar kataya hai faraaz-e-dar se pahle

talatum-khez maujon se mujhe ladna to aata hai
magar main dub sakta hun kabhi manjdhaar se pahle

tera hi aks meri aankh ke til mein farozan hai
tujhe main dekh sakta hun tere didar se pahle

kahin bhi jurm se pahle saza wajib nahin hoti
koi kafir nahin hota magar inkar se pahle

nae imkan dhundegi hamari justuju 'shahid'
hum ab ke dar banaenge magar diwar se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close