us ki ye shart ki har lafz faqat us ka ho mujh ko ye zid ki jo mani ho mera apna ho hont sil jaen to aankhon se bayan ho jae dard ai dosto itni to kasak rakhta ho main samundar ka bhi saman liye chalta hun rah mein kya ye zaruri hai faqat sahra ho aaj to lagta hai mazbut tumhaara ye bandh kal kise ilm ki dariya ka irada kya ho tum ne har rah pe ek rok laga to di hai ye zara soch lo gar phir bhi hamein jaana ho 'abid' ek bar zara napen to us ke qad ko ain mumkin hai yunhi sab se bada lagta ho