us ko barson baad tanha jaane main kaisa laga mujh ko to wo ajnabi ke sath bhi achchha laga ek muddat se na dekha tha utha kar us ka gham us ka gham bhi gard mein lipta hua tohfa laga thi likhai bhi usi ki dastakhat bhi us ke the kyun khat-e-tark-e-talluq ghair ka likkha laga sahilon par ban saka us se na kuchh rishta magar us ne chhoda jab bhanwar mein wo mujhe apna laga main ki mere umr guzri inkisar-o-ijz mein kuchh mashinon ko khata karta hua bachcha laga