us ko chhu kar sanwar gaya hun main sang khushbu bikhar gaya hun main nek sirat pari sa chehra tha kar ke sajda guzar gaya hun main jism jaan se juda to hona tha kaun jaane kidhar gaya hun main lams pa kar tumhaare panw ka dil se dil mein utar gaya hun main faiz us ke bhula na paunga yaad aae jidhar gaya hun main kaam ek nek ho gaya maula dub kar phir ubhar gaya hun main haar jaane ka gham nahin 'saghar' haar kar bhi sanwar gaya hun main