jo us be-rahm par apna dil-e-khana-kharab aaya gae sabr-o-tahammul hosh-o-taqat iztirab aaya hawa badli ghata chhai wo barish ka sahab aaya magar ab tak na ai pir-e-mughan daur-e-sharab aaya sar-e-mahshar wo yar-e-shoala-ru jab be-naqab aaya to ahl-e-hashr chikh utthe zamin par aaftab aaya sar-e-mahfil adu se wasl ka iqrar karna tha tumhein kuchh bhi haya aai tumhein kuchh bhi hijab aaya shab-e-furqat kisi ne bhi na mujh nakaam ko puchha na tum aae na maut aai na sabr aaya na khwab aaya jafa-ju sang-dil be-rahm hai wada-shikan hai wo tu aaya bhi to kis par ai dil-e-khana-kharab aaya ghazab hai yar ne sar kat kar bheja hai qasid ka jawab aaya hamare name ka to ye jawab aaya hui tauba bhi tukde tukde misl-e-saghar-o-mina hamare samne ai shaikh jab daur-e-sharab aaya jo chhu li zulf-e-pur-kham main ne barham ho gae mujh se hansi ki baat thi sahab magar tum ko itab aaya khula sab haal hum par is jahan ki be-sabaati ka mita sath-e-samandar par ubhar kar jo habab aaya abhi tak hai wahi ghaflat safedi baalon par aai utho bahr-e-khuda 'sabir' ki sar par aaftab aaya