usko dekhun to kabhi main bhi ki wo kaisi hai

us ko dekhun to kabhi main bhi ki wo kaisi hai
mere pichhe jo 'saba' ghar mein mere rahti hai

jalte sanson ke ghane dasht mein jari hai safar
jaan abhi qahr ke khatron se kahan chhuti hai

ab koi khwabon ka jhula bhi lagae to kahan
shab ke pedon ki har ek shakh-e-hasin tuti hai

us ke aangan mein khare nim ki chanchal chhaya
sham se hi meri dahliz pe aa baithi hai

gum hui hai 'saba' lohe ke pulon ke niche
ganw ki shokh nadi shahr mein jab pahunchi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close